sab dam-ba-KHud hain nabz ki raftar dekh kar
sab dam-ba-ḳhud haiñ nabz kī raftār dekh kar
tum hañs rahe ho hālat-e-bīmār dekh kar
saudā vo kyā karegā ḳharīdār dekh kar
ghabrā gayā jo garmī-e-bāzār dekh kar
allāh tere haath hai ab ābrū-e-shauq
dam ghuT rahā hai vaqt kī raftār dekh kar
detā kahāñ hai vaqt paḌe par koī bhī saath
ham ko musībatoñ meñ giraftār dekh kar
aate haiñ mai-kade kī taraf se janāb-e-shaiḳh
sargoshiyāñ haiñ laġhzish-e-raftār dekh kar
ġhairoñ ne ġhair jaan ke ham ko uThā diyā
baiThe jahāñ bhī sāya-e-dīvār dekh kar
aate hī bazm-e-yār meñ pahchān hī gayā
mai-ḳhvār kī nigāh ko mai-ḳhvār dekh kar
is madh-bharī nigāh kī allāh se kashish
sau baar dekhnā paḌā ik baar dekh kar
tum rahnumā-e-vaqt sahī phir bhī chand gaam
chalnā paḌegā vaqt kī raftār dekh kar
vaqt-e-sahar guzar ga.ī kyā kyā na pūchhiye
gardan meñ un kī sūkhe hue haar dekh kar
talchhaT milā ke detā hai rindoñ ko sāqiyā
sāġhar paTak na de koī hushiyār dekh kar
'bismil' ko kyā hai chādar-e-rahmat rasūl kī
saa.e meñ le hī legī gunahgār dekh kar
sab dam-ba-KHud hain nabz ki raftar dekh kar
tum hans rahe ho haalat-e-bimar dekh kar
sauda wo kya karega KHaridar dekh kar
ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh kar
allah tere hath hai ab aabru-e-shauq
dam ghuT raha hai waqt ki raftar dekh kar
deta kahan hai waqt paDe par koi bhi sath
hum ko musibaton mein giraftar dekh kar
aate hain mai-kade ki taraf se janab-e-shaiKH
sargoshiyan hain laghzish-e-raftar dekh kar
ghairon ne ghair jaan ke hum ko uTha diya
baiThe jahan bhi saya-e-diwar dekh kar
aate hi bazm-e-yar mein pahchan hi gaya
mai-KHwar ki nigah ko mai-KHwar dekh kar
is madh-bhari nigah ki allah se kashish
sau bar dekhna paDa ek bar dekh kar
tum rahnuma-e-waqt sahi phir bhi chand gam
chalna paDega waqt ki raftar dekh kar
waqt-e-sahar guzar gai kya kya na puchhiye
gardan mein un ki sukhe hue haar dekh kar
talchhaT mila ke deta hai rindon ko saqiya
saghar paTak na de koi hushiyar dekh kar
'bismil' ko kya hai chadar-e-rahmat rasul ki
sae mein le hi legi gunahgar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.