sab daraKHt Khaali hain barishon ke mausam mein
sab daraḳht ḳhālī haiñ bārishoñ ke mausam meñ
saare ghar muqaffal haiñ vasvasoñ ke mausam meñ
āñdhiyoñ kī bārish meñ sab charāġh zinda haiñ
jāgtā hai yazdāñ bhī rat-jagoñ ke mausam meñ
aap se shikāyat kyā aap se gila kaisā
phir rahā huuñ ḳhud tanhā sāzishoñ ke mausam meñ
jāgte daraḳhtoñ kī shāḳh shāḳh ḳhālī hai
koī phal ugegā to ḳhvāhishoñ ke mausam meñ
abr kā koī TukḌā shahr bhar savālī hai
aañkh ḳhushk dariyā hai āñsuoñ ke mausam meñ
bas isī tajassus meñ raat kā safar guzrā
kaun hai jo rotā hai chāhatoñ ke mausam meñ
ik sukūt taarī hai har sadā ke chehre par
pā-barahna lamhe haiñ sā.atoñ ke mausam meñ
sab daraKHt KHali hain barishon ke mausam mein
sare ghar muqaffal hain waswason ke mausam mein
aandhiyon ki barish mein sab charagh zinda hain
jagta hai yazdan bhi rat-jagon ke mausam mein
aap se shikayat kya aap se gila kaisa
phir raha hun KHud tanha sazishon ke mausam mein
jagte daraKHton ki shaKH shaKH KHali hai
koi phal ugega to KHwahishon ke mausam mein
abr ka koi TukDa shahr bhar sawali hai
aankh KHushk dariya hai aansuon ke mausam mein
bas isi tajassus mein raat ka safar guzra
kaun hai jo rota hai chahaton ke mausam mein
ek sukut tari hai har sada ke chehre par
pa-barahna lamhe hain saaton ke mausam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.