sab hakimon ki hum pe hukumat barae nam
sab hākimoñ kī ham pe hukūmat barā.e naam
mere vatan kī saarī siyāsat barā.e naam
roza namāz saarī riyāzat hai be-asar
sab rā.egāñ hamārī 'ibādat barā.e naam
majnūñ sā kohkan sā na aayā nazar kahīñ
ab 'āshiqoñ kī saarī mohabbat barā.e naam
ham rāh-e-mustaqīm se bhaTke hue tamām
ġhāfil haiñ ham hamārī sharī'at barā.e naam
ham par to 'askarī hī musallat azal se haiñ
kaTh-putliyāñ haiñ zer-e-sadārat barā.e naam
'ādil vatan ke mere haiñ dushman se jā mile
munsif to bik ga.e haiñ 'adālat barā.e naam
sab hakimon ki hum pe hukumat barae nam
mere watan ki sari siyasat barae nam
roza namaz sari riyazat hai be-asar
sab raegan hamari 'ibaadat barae nam
majnun sa kohkan sa na aaya nazar kahin
ab 'ashiqon ki sari mohabbat barae nam
hum rah-e-mustaqim se bhaTke hue tamam
ghafil hain hum hamari shari'at barae nam
hum par to 'askari hi musallat azal se hain
kaTh-putliyan hain zer-e-sadarat barae nam
'adil watan ke mere hain dushman se ja mile
munsif to bik gae hain 'adalat barae nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.