sab hain muhtaj faqat ek KHuda deta hai
sab haiñ muhtāj faqat ek ḳhudā detā hai
maañg ke dekh vo dāman se sivā detā hai
dil to phir dil hai vo patthar ko jalā detā hai
jis ko chhū detā hai ā.īna banā detā hai
maiñ ki vīrāne meñ ik phuul khilāne se rahā
vo ki sahrā ko bhī gulzār banā detā hai
dil vo pāgal hai ki rotā hai to rote rote
qatra-e-ashk kā ambār lagā detā hai
phūñs kā ghar hai mire gaañv ke andar sab kā
bujhte sho.aloñ ko yahāñ kaun havā detā hai
mujh ko angūr kī beTī se vo hāsil na huā
terī āñkhoñ kā tasavvur jo nasha detā hai
sar hathelī pe liye qasd-e-safar lāzim hai
hausla sū-e-yaqīñ baḌh ke sadā detā hai
tham ga.ī nabz mirī saañs kī lai lauT ga.ī
chārāgar chhoḌ de bekār davā detā hai
raag dīpak meñ sunātā hai ġhazal jab 'anjum'
apnī āvāz se vo aag lagā detā hai
sab hain muhtaj faqat ek KHuda deta hai
mang ke dekh wo daman se siwa deta hai
dil to phir dil hai wo patthar ko jala deta hai
jis ko chhu deta hai aaina bana deta hai
main ki virane mein ek phul khilane se raha
wo ki sahra ko bhi gulzar bana deta hai
dil wo pagal hai ki rota hai to rote rote
qatra-e-ashk ka ambar laga deta hai
phuns ka ghar hai mere ganw ke andar sab ka
bujhte shoalon ko yahan kaun hawa deta hai
mujh ko angur ki beTi se wo hasil na hua
teri aankhon ka tasawwur jo nasha deta hai
sar hatheli pe liye qasd-e-safar lazim hai
hausla su-e-yaqin baDh ke sada deta hai
tham gai nabz meri sans ki lai lauT gai
chaaragar chhoD de bekar dawa deta hai
rag dipak mein sunata hai ghazal jab 'anjum'
apni aawaz se wo aag laga deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.