sab hain so main bhi is safar mein hun
sab haiñ so maiñ bhī is safar meñ huuñ
din meñ gardish meñ raat ghar meñ huuñ
go ki dekhā nahīñ vo dahshat-gard
shaam ko ḳhauf shab ḳhatar meñ huuñ
kar nahīñ paatā koī achchhā kaam
jaane kis kī burī nazar meñ huuñ
muñh se sach baat kam nikaltī hai
kisī aaseb ke asar meñ huuñ
dhīre-dhīre dhasak rahā huuñ maiñ
thoḌā dīvār thoḌā dar meñ huuñ
sab hain so main bhi is safar mein hun
din mein gardish mein raat ghar mein hun
go ki dekha nahin wo dahshat-gard
sham ko KHauf shab KHatar mein hun
kar nahin pata koi achchha kaam
jaane kis ki buri nazar mein hun
munh se sach baat kam nikalti hai
kisi aaseb ke asar mein hun
dhire-dhire dhasak raha hun main
thoDa diwar thoDa dar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.