sab hunar aate hain un ko aashiqi ko chhoD kar
sab hunar aate haiñ un ko āshiqī ko chhoḌ kar
sab adā.eñ haiñ mukammal sādgī ko chhoḌ kar
muskurā kar de rahā vardān sūraj ab use
jis ne jugnū ko chunā thā chāñdnī ko chhoḌ kar
tīsrā vo lafz jaane kab sunā.eñge hameñ
kab kaheñge kuchh alag haañ aur jī ko chhoḌ kar
yaad hoñ ash.ār jis ko ye usī ke hai sipurd
ham mareñge sirf apnī Diary ko chhoḌ kar
raam ke jīvan se saare dukh haTā kar dekh lo
kuchh nahīñ tum ko milegā jaan kī ko chhoḌ kar
sab hunar aate hain un ko aashiqi ko chhoD kar
sab adaen hain mukammal sadgi ko chhoD kar
muskura kar de raha wardan suraj ab use
jis ne jugnu ko chuna tha chandni ko chhoD kar
tisra wo lafz jaane kab sunaenge hamein
kab kahenge kuchh alag han aur ji ko chhoD kar
yaad hon ashaar jis ko ye usi ke hai sipurd
hum marenge sirf apni Diary ko chhoD kar
ram ke jiwan se sare dukh haTa kar dekh lo
kuchh nahin tum ko milega jaan ki ko chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.