sab jise mahtab kahte hain
sab jise māhtāb kahte haiñ
tere ruḳh kā shabāb kahte haiñ
barg-e-gul sī hai nāzukī un keī
ham laboñ ko gulāb kahte haiñ
log āñkhoñ se pī bahakte haiñ
chashm jām-e-sharāb kahte haiñ
gesuoñ se Tapaktī būñdoñ ko
abr se girtā aab kahte haiñ
terī pāzeb keī huī runjhun
baj rahā jiyūñ rabāb kahte haiñ
duur ho kar bhī paas lagtī ho
kyā isī ko sarāb kahte haiñ
paḌh sakoge 'anīs' chehre ko
log is ko kitāb kahte hai
sab jise mahtab kahte hain
tere ruKH ka shabab kahte hain
barg-e-gul si hai nazuki un kei
hum labon ko gulab kahte hain
log aankhon se pi bahakte hain
chashm jam-e-sharab kahte hain
gesuon se Tapakti bundon ko
abr se girta aab kahte hain
teri pazeb kei hui runjhun
baj raha jiyun rabab kahte hain
dur ho kar bhi pas lagti ho
kya isi ko sarab kahte hain
paDh sakoge 'anis' chehre ko
log is ko kitab kahte hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.