sab ka apna apna mansha sab ki apni apni soch
sab kā apnā apnā manshā sab kī apnī apnī soch
lafzoñ kī shatranj bichhā kar maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
ek jagah Thahre hī nahīñ hai har-sū uḌtī phirtī hai
rang-birange pankhoñ vaalī kaisī anokhī titlī soch
tujh se mujh se kuchh ummīdeñ ye alfāz bhī rakhte haiñ
kaun paḌhegā in kī zabāñ ko kis kī hai itnī gahrī soch
ham aise dīvānoñ kā ab hosh meñ aanā nā-mumkin
apnī to yūñhī kaT jā.egī ai nāseh tū apnī soch
dhyān rahe in ā.īnoñ pe gard na jamne paa.e 'nasīm'
zehn nazar dil saaf rakho ye phir na rahegī dhuñdlī soch
sab ka apna apna mansha sab ki apni apni soch
lafzon ki shatranj bichha kar main bhi sochun tu bhi soch
ek jagah Thahre hi nahin hai har-su uDti phirti hai
rang-birange pankhon wali kaisi anokhi titli soch
tujh se mujh se kuchh ummiden ye alfaz bhi rakhte hain
kaun paDhega in ki zaban ko kis ki hai itni gahri soch
hum aise diwanon ka ab hosh mein aana na-mumkin
apni to yunhi kaT jaegi ai naseh tu apni soch
dhyan rahe in aainon pe gard na jamne pae 'nasim'
zehn nazar dil saf rakho ye phir na rahegi dhundli soch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.