sab ka sab saman sameTa jaldi mein
sab kā sab sāmān sameTā jaldī meñ
chhoḌ aayā huuñ ghar maiñ apnā jaldī meñ
apne dil ke sab darvāze band kiye
chhoḌ diyā hai ik darvāza jaldī meñ
biich shahr meñ ḳhālī piñjra rakkhā thā
aa baiThā hai ek parinda jaldī meñ
maiñ ne us se pyaar kā matlab pūchhā thā
us ne merī jānib dekhā jaldī meñ
us ke kuchh kirdār adhūre rahte haiñ
likhtā huuñ maiñ jo afsāna jaldī meñ
sab ka sab saman sameTa jaldi mein
chhoD aaya hun ghar main apna jaldi mein
apne dil ke sab darwaze band kiye
chhoD diya hai ek darwaza jaldi mein
bich shahr mein KHali pinjra rakkha tha
aa baiTha hai ek parinda jaldi mein
main ne us se pyar ka matlab puchha tha
us ne meri jaanib dekha jaldi mein
us ke kuchh kirdar adhure rahte hain
likhta hun main jo afsana jaldi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.