sab kahte hain aisa hota aaya hai
sab kahte haiñ aisā hotā aaya hai
yaar kahānī meñ rāñjhā bhī martā hai
hiir kahāñ bachne vaalī hī thī pahle
dard bharā itihās hamārā kahtā hai
us patthar ko āḳhir kaise batlā.ūñ
ik dariyā merī āñkhoñ meñ rahtā hai
dil ke armāñ TukḌoñ meñ bañT jaate haiñ
tab jā kar aañsū kā rastā bantā hai
duniyā kahtī zinda rahte maut jise
ham bhī dekheñ us meñ kyā kyā dikhtā hai
chāhat rāhat dhokā mātam bechainī
mere hisse meñ āḳhir kyā miltā hai
husn bhalā kyā chiiz mohabbat ke aage
din badle to ye bhī roz badaltā hai
sab kahte hain aisa hota aaya hai
yar kahani mein ranjha bhi marta hai
hir kahan bachne wali hi thi pahle
dard bhara itihas hamara kahta hai
us patthar ko aaKHir kaise batlaun
ek dariya meri aankhon mein rahta hai
dil ke arman TukDon mein banT jate hain
tab ja kar aansu ka rasta banta hai
duniya kahti zinda rahte maut jise
hum bhi dekhen us mein kya kya dikhta hai
chahat rahat dhoka matam bechaini
mere hisse mein aaKHir kya milta hai
husn bhala kya chiz mohabbat ke aage
din badle to ye bhi roz badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.