sab kahte hain dekh usko sar-e-rah zamin par
sab kahte hain dekh usko sar-e-rah zamin par
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
sab kahte haiñ dekh us ko sar-e-rāh zamīñ par
''kis raah se aayā ye utar maah zamīñ par''
bīmār kī tere to kahānī hai baḌī par
qissa hai ab ik dam meñ hī kotāh zamīñ par
tū chhat pe chaḌhā us ke hai aisā ki bas āḳhir
chhoḌegī utarvā ke tirī chaah zamīñ par
ye vo dil-e-muztar hai ki juuñ barq-e-tapīda
gaahe ba-falak aa.e nazar gaah zamīñ par
kuchh soch ke bas kāñpne lagtā huuñ maiñ 'jur.at'
paḌtā hai qadam zor se jab aah zamīñ par
sab kahte hain dekh us ko sar-e-rah zamin par
kis rah se aaya ye utar mah zamin par
bimar ki tere to kahani hai baDi par
qissa hai ab ek dam mein hi kotah zamin par
tu chhat pe chaDha us ke hai aisa ki bas aaKHir
chhoDegi utarwa ke teri chah zamin par
ye wo dil-e-muztar hai ki jun barq-e-tapida
gahe ba-falak aae nazar gah zamin par
kuchh soch ke bas kanpne lagta hun main 'jurat'
paDta hai qadam zor se jab aah zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.