sab ke chehron pe jab KHushi hogi
sab ke chehroñ pe jab ḳhushī hogī
kyā 'dinesh' aisī sub.h bhī hogī
log nikle haiñ jo ye sham.a liye
nirbhayā phir koī luTī hogī
sard mausam meñ be-gharoñ kī dashā
bebasī ḳhud bhī ro rahī hogī
kyā kabhī inqalāb aa.egā
in añdheroñ meñ raushnī hogī
sab ke hoñToñ pe ye savāl hai ab
kab siyāsat ko hathkaḌī hogī
abr barsegā TuuT kar jis din
duur dhartī kī tishnagī hogī
uTh ke zālim ko de javāb 'dinesh'
zulm sahnā to buzdilī hogī
sab ke chehron pe jab KHushi hogi
kya 'dinesh' aisi subh bhi hogi
log nikle hain jo ye shama liye
nirbhaya phir koi luTi hogi
sard mausam mein be-gharon ki dasha
bebasi KHud bhi ro rahi hogi
kya kabhi inqalab aaega
in andheron mein raushni hogi
sab ke honTon pe ye sawal hai ab
kab siyasat ko hathkaDi hogi
abr barsega TuT kar jis din
dur dharti ki tishnagi hogi
uTh ke zalim ko de jawab 'dinesh'
zulm sahna to buzdili hogi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.