sab ke ghamon mein thoDi thoDi maine hisse-dari ki
sab ke ġhamoñ meñ thoḌī thoḌī maiñ ne hisse-dārī kī
ḳhushiyoñ kī ummīd na rakkhī dard se rishta-dārī kī
duniyā vāloñ kī aadat hai ye to dikhāvā karte haiñ
maiñ ne sab ko apnā samjhā duniyā ne makkārī kī
sab masrūf the koī na aayā haal mirā sunñe ke liye
shahr meñ yuuñ to phail ga.ī thī ḳhabar mirī bīmārī kī
zālim raat bahut bhārī thī āñkhoñ par kyā kyā guzrī
sub.h kī aahaT sun kar shab ne chalne kī tayyārī kī
āñdhī ne vo zulm hai Dhāyā shāḳh jo TuuTī bikhre phuul
TuuTe patte dekh ḳhizāñ ne apnī rā.e-shumārī kī
is ke bachche us kī ḳhidmat meñ din raat lage haiñ aaj
jis ne buzurgoñ kī ḳhidmat kī jis ne tābedārī kī
tārīkī meñ Duub gayā thā chāñd kā raushan chehra jab
saarī raat charāġhoñ ne ghuT ghuT kar āh-o-zārī kī
apne savāloñ se ghabrā kar sab ḳhud hī ro dete the
chāhne vāloñ ne āñkhoñ meñ shab bhar shab-bedārī kī
us zālim ne haal na pūchhā jis se thī ummīd bahut
sab ne yuuñ to rasm nibhā.ī sab ne duniyā-dārī kī
ye shāyad apnī qismat hai is se shikāyat kyā karnā
jis ko ham ne dil se chāhā us ne dil-āzārī kī
sab ke ghamon mein thoDi thoDi main ne hisse-dari ki
KHushiyon ki ummid na rakkhi dard se rishta-dari ki
duniya walon ki aadat hai ye to dikhawa karte hain
main ne sab ko apna samjha duniya ne makkari ki
sab masruf the koi na aaya haal mera sunne ke liye
shahr mein yun to phail gai thi KHabar meri bimari ki
zalim raat bahut bhaari thi aankhon par kya kya guzri
subh ki aahaT sun kar shab ne chalne ki tayyari ki
aandhi ne wo zulm hai Dhaya shaKH jo TuTi bikhre phul
TuTe patte dekh KHizan ne apni rae-shumari ki
is ke bachche us ki KHidmat mein din raat lage hain aaj
jis ne buzurgon ki KHidmat ki jis ne tabedari ki
tariki mein Dub gaya tha chand ka raushan chehra jab
sari raat charaghon ne ghuT ghuT kar aah-o-zari ki
apne sawalon se ghabra kar sab KHud hi ro dete the
chahne walon ne aankhon mein shab bhar shab-bedari ki
us zalim ne haal na puchha jis se thi ummid bahut
sab ne yun to rasm nibhai sab ne duniya-dari ki
ye shayad apni qismat hai is se shikayat kya karna
jis ko hum ne dil se chaha us ne dil-azari ki
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 34)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.