sab ke hathon mein aaj patthar hai
sab ke hāthoñ meñ aaj patthar hai
aur nishāne pe bas mirā sar hai
kaash aakar zarā koī dekhe
qābil-e-dīd kitnā manzar hai
aisī ḳhūbī hai jaane kyā us meñ
dekh le jis ko vo musahhar hai
but-shikan naam jis kā hai mash.hūr
ik payambar hai ibn-e-āzar hai
ab to jaa.e amaañ kahīñ bhī nahīñ
āfatoñ kā pahāḌ sar par hai
jal ga.e dhuup kī tamāzat se
sā.ebāñ hai na koī chhappar hai
jism uryāñ hai baal bikhre hue
ghar se bāhar ye kis kī duḳhtar hai
shauq se sangsār ho jā.ūñ
jurm koī agar mire sar hai
ho sake to zarā simaT jaao
paañv phailāo jitnī chādar hai
kyoñ jhukā.ūñ maiñ sar kahīñ jā kar
mire sar ke liye tirā dar hai
jā ke masjid meñ dekh le ai 'yās'
adnā a.alā vahāñ barābar hai
sab ke hathon mein aaj patthar hai
aur nishane pe bas mera sar hai
kash aakar zara koi dekhe
qabil-e-did kitna manzar hai
aisi KHubi hai jaane kya us mein
dekh le jis ko wo musahhar hai
but-shikan nam jis ka hai mashhur
ek payambar hai ibn-e-azar hai
ab to jae aman kahin bhi nahin
aafaton ka pahaD sar par hai
jal gae dhup ki tamazat se
saeban hai na koi chhappar hai
jism uryan hai baal bikhre hue
ghar se bahar ye kis ki duKHtar hai
shauq se sangsar ho jaun
jurm koi agar mere sar hai
ho sake to zara simaT jao
panw phailao jitni chadar hai
kyon jhukaun main sar kahin ja kar
mere sar ke liye tera dar hai
ja ke masjid mein dekh le ai 'yas'
adna aala wahan barabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.