sab ke honTon par hamesha us ka afsana rahe
sab ke hoñToñ par hamesha us kā afsāna rahe
saarā aalam mere dīvāne kā dīvāna rahe
sāqiyā yūñhī hamesha hāl-e-mai-ḳhāna rahe
raqs meñ sāġhar rahe gardish meñ paimāna rahe
dil kā aalam dekh merī yaad meñ yuuñ ġharq hai
sham.a par jaise tasadduq koī parvāna rahe
ghar meñ bachche bhuuk se betāb haiñ behāl haiñ
baap lekin sochtā hai ThaaT shāhāna rahe
ye ḳhudā kī maslahat hai varna is darbār meñ
mustahiq jo hai mohabbat kā vo begāna rahe
aadmī badnām ho jaatā hai lafzoñ ke tufail
guftugū karne meñ andāz-e-sharīfāna rahe
āfatoñ kā aur balāoñ kā na ho is par nuzūl
sāya-e-rahmat meñ 'shātir' terā kāshāna rahe
sab ke honTon par hamesha us ka afsana rahe
sara aalam mere diwane ka diwana rahe
saqiya yunhi hamesha haal-e-mai-KHana rahe
raqs mein saghar rahe gardish mein paimana rahe
dil ka aalam dekh meri yaad mein yun gharq hai
shama par jaise tasadduq koi parwana rahe
ghar mein bachche bhuk se betab hain behaal hain
bap lekin sochta hai ThaT shahana rahe
ye KHuda ki maslahat hai warna is darbar mein
mustahiq jo hai mohabbat ka wo begana rahe
aadmi badnam ho jata hai lafzon ke tufail
guftugu karne mein andaz-e-sharifana rahe
aafaton ka aur balaon ka na ho is par nuzul
saya-e-rahmat mein 'shatir' tera kashana rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.