Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ke labon pe aaj barabar hai ye siwa

Premi Romani

sab ke labon pe aaj barabar hai ye siwa

Premi Romani

MORE BYPremi Romani

    sab ke laboñ pe aaj barābar hai ye sivā

    bastī meñ kaise phirte haiñ sahrā ke ye ġhazāl

    tanhā.iyoñ meñ qaid rahā huuñ idhar-udhar

    saare nagar ke log mire ġham meñ the niDhāl

    charchā ka.ī dinoñ se hai ye saare shahr meñ

    ḳhvāboñ meñ rah ke 'umr bitānā hai ab muhāl

    andhe tamām aa.ine be-nūr sab aañkh

    pahchān le to kaise koī apne ḳhadd-o-ḳhāl

    'premī' har ek raat ke sar par hai ek raat

    sūraj hai vo sarāb ki jis nahīñ zavāl

    sab ke labon pe aaj barabar hai ye siwa

    basti mein kaise phirte hain sahra ke ye ghazal

    tanhaiyon mein qaid raha hun idhar-udhar

    sare nagar ke log mere gham mein the niDhaal

    charcha kai dinon se hai ye sare shahr mein

    KHwabon mein rah ke 'umr bitana hai ab muhaal

    andhe tamam aaine be-nur sab ki aankh

    pahchan le to kaise koi apne KHadd-o-KHal

    'premi' har ek raat ke sar par hai ek raat

    suraj hai wo sarab ki jis ka nahin zawal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now