sab ke pairon mein wahi rizq ka chakkar kyun hai
sab ke pairoñ meñ vahī rizq kā chakkar kyuuñ hai
girya is 'ahd ke logoñ kā muqaddar kyuuñ hai
ye jo manzar haiñ baḌe kyuuñ haiñ mirī āñkhoñ se
ye jo duniyā hai mire dil ke barābar kyuuñ hai
āsmānoñ pe bahut der se Thahrī hai shafaq
sochtā huuñ ki abhī tak yahī manzar kyuuñ hai
maiñ ba-zāhir to ujāloñ meñ basar kartā huuñ
ek pur-asrār syāhī mire andar kyuuñ hai
kashtiyāñ Duub chukīñ sar-phire ġharqāb hue
mushta'il ab bhī isī tarah samundar kyuuñ hai
sab ke pairon mein wahi rizq ka chakkar kyun hai
girya is 'ahd ke logon ka muqaddar kyun hai
ye jo manzar hain baDe kyun hain meri aankhon se
ye jo duniya hai mere dil ke barabar kyun hai
aasmanon pe bahut der se Thahri hai shafaq
sochta hun ki abhi tak yahi manzar kyun hai
main ba-zahir to ujalon mein basar karta hun
ek pur-asrar syahi mere andar kyun hai
kashtiyan Dub chukin sar-phire gharqab hue
mushta'il ab bhi isi tarah samundar kyun hai
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 165)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.