sab KHwab tha aur KHwab bikharne ki KHabar aai
sab ḳhvāb thā aur ḳhvāb bikharne kī ḳhabar aa.ī
lo sham' bujhī raat guzarne kī ḳhabar aa.ī
milne bhī na paayā thā maiñ tujh se sar-e-dariyā
dariyā se tire paar utarne kī ḳhabar aa.ī
shāyad ki tah-e-āb huā koī safīna
paanī pe nayā naqsh ubharne kī ḳhabar aa.ī
us din kā hī andesha rahā kartā thā ai dil
jis din se tire naala na karne kī ḳhabar aa.ī
sochā thā zarā tere ta.iiñ baat to kī jaa.e
itne meñ tire baat na karne kī ḳhabar aa.ī
jiine se baḌā koī bhī āzār na niklā
jab apne masīhāoñ ke marne kī ḳhabar aa.ī
sab KHwab tha aur KHwab bikharne ki KHabar aai
lo sham' bujhi raat guzarne ki KHabar aai
milne bhi na paya tha main tujh se sar-e-dariya
dariya se tere par utarne ki KHabar aai
shayad ki tah-e-ab hua koi safina
pani pe naya naqsh ubharne ki KHabar aai
us din ka hi andesha raha karta tha ai dil
jis din se tere nala na karne ki KHabar aai
socha tha zara tere tain baat to ki jae
itne mein tere baat na karne ki KHabar aai
jine se baDa koi bhi aazar na nikla
jab apne masihaon ke marne ki KHabar aai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 81)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.