sab ki aawaz mein aawaz mila rakkhi hai
sab kī āvāz meñ āvāz milā rakkhī hai
apnī pahchān magar sab se judā rakkhī hai
jaane kis raah se aa jaa.e vo aane vaalā
maiñ ne har samt se dīvār girā rakkhī hai
aisā hotā hai ki patthar bhī pighal jaatā hai
tū ne siine meñ magar chiiz ye kyā rakkhī hai
zaḳhm-ḳhurda sahī afsurda sahī apnī jabīñ
jaisī bhī hai terī dahlīz pe lā rakkhī hai
us ne mujh se bhī tirī saarī kahānī kah dī
jis ne tujh ko mirī har baat sunā rakkhī hai
mere siine meñ 'munavvar' hai usī shoḳh kā ġham
jis ke siine meñ mire ġham kī davā rakkhī hai
sab ki aawaz mein aawaz mila rakkhi hai
apni pahchan magar sab se juda rakkhi hai
jaane kis rah se aa jae wo aane wala
main ne har samt se diwar gira rakkhi hai
aisa hota hai ki patthar bhi pighal jata hai
tu ne sine mein magar chiz ye kya rakkhi hai
zaKHm-KHurda sahi afsurda sahi apni jabin
jaisi bhi hai teri dahliz pe la rakkhi hai
us ne mujh se bhi teri sari kahani kah di
jis ne tujh ko meri har baat suna rakkhi hai
mere sine mein 'munawwar' hai usi shoKH ka gham
jis ke sine mein mere gham ki dawa rakkhi hai
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 74)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.