sab ki bigDi ko banane nikle
sab kī bigḌī ko banāne nikle
yaar ham tum bhī divāne nikle
dhuul hai ret hai sahrā hai yahāñ
ham kahāñ pyaas bujhāne nikle
itnī raunaq hai ki jī Dūbtā hai
shahr meñ ḳhaak uḌāne nikle
in añdheroñ meñ kiran jab DhūñDī
sab ke hañsne ke bahāne nikle
koī to chiiz na.ī mil jaatī
dard bhī sadiyoñ purāne nikle
chāñd ko raat meñ maut aa.ī thī
laash ham din ko uThāne nikle
umr barbād yūñhī kar dī 'hasan'
ḳhvāb bhī kitne suhāne nikle
sab ki bigDi ko banane nikle
yar hum tum bhi diwane nikle
dhul hai ret hai sahra hai yahan
hum kahan pyas bujhane nikle
itni raunaq hai ki ji Dubta hai
shahr mein KHak uDane nikle
in andheron mein kiran jab DhunDi
sab ke hansne ke bahane nikle
koi to chiz nai mil jati
dard bhi sadiyon purane nikle
chand ko raat mein maut aai thi
lash hum din ko uThane nikle
umr barbaad yunhi kar di 'hasan'
KHwab bhi kitne suhane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.