sab ki KHair manao baba
sab kī ḳhair manāo baabā
ḳhanjar mat chamkāo baabā
dil to hai ik naav baabā
tum māñjhī ban jaao baabā
ġham to insāñ kī qismat hai
ġham se mat ghabrāo baabā
merī āñkheñ suunī suunī
tum kājal ban jaao baabā
tum ko nazreñ DhūñD rahī haiñ
āñkhoñ meñ chhup jaao baabā
kaliyāñ kaise phuul baneñgī
kuchh mujh ko samjhāo baabā
pyāsī dhartī chīḳh rahī hai
tum bādal ban jaao baabā
phir pardesī lauT ke aa.e
jhūmo nācho gaao baabā
ghar vāloñ ke aañsū dekho
sāġhar mat chhalkāo baabā
patthar huuñ lekin 'nīlam' huuñ
mujh ko mat Thukrāo baabā
sab ki KHair manao baba
KHanjar mat chamkao baba
dil to hai ek naw baba
tum manjhi ban jao baba
gham to insan ki qismat hai
gham se mat ghabrao baba
meri aankhen suni suni
tum kajal ban jao baba
tum ko nazren DhunD rahi hain
aankhon mein chhup jao baba
kaliyan kaise phul banengi
kuchh mujh ko samjhao baba
pyasi dharti chiKH rahi hai
tum baadal ban jao baba
phir pardesi lauT ke aae
jhumo nacho gao baba
ghar walon ke aansu dekho
saghar mat chhalkao baba
patthar hun lekin 'nilam' hun
mujh ko mat Thukrao baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.