sab ki nazron mein yun bhi pyara hun
sab kī nazroñ meñ yuuñ bhī pyārā huuñ
maiñ tirī ik nazar kā maarā huuñ
vaqt ke saath mujh ko bahnā hai
maiñ to paanī kā ek dhārā huuñ
tum ne jab apnā kah diyā hai mujhe
kaise kah duuñ ki be-sahārā huuñ
'ishq meñ kyā yahī nahīñ kaafī
mere tum aur maiñ tumhārā huuñ
chāhtā maiñ to jiit saktā thā
terī ḳhātir ye baazī haarā huuñ
yuuñ khaTaktā huuñ sab kī āñkhoñ meñ
terī āñkhoñ kā maiñ jo taarā huuñ
tujh se 'faisal' hai bāhamī rishta
tū hai kashtī to maiñ kinārā huuñ
sab ki nazron mein yun bhi pyara hun
main teri ek nazar ka mara hun
waqt ke sath mujh ko bahna hai
main to pani ka ek dhaara hun
tum ne jab apna kah diya hai mujhe
kaise kah dun ki be-sahaara hun
'ishq mein kya yahi nahin kafi
mere tum aur main tumhaara hun
chahta main to jit sakta tha
teri KHatir ye bazi haara hun
yun khaTakta hun sab ki aankhon mein
teri aankhon ka main jo tara hun
tujh se 'faisal' hai bahami rishta
tu hai kashti to main kinara hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.