sab ko dekha sab ko parkha koi nahin
sab ko dekhā sab ko parkhā koī nahīñ
tum jo ho jaise ho aisā koī nahīñ
be-vajah kis uljhan meñ paḌ jaate ho
tum achchhe ho tum se achchhā koī nahīñ
jab tak tum the ghar meñ kaisī raunaq thī
barsoñ biite aatā jaatā koī nahīñ
kahne ko ye bhī vo bhī sab apne haiñ
mar jā.ūñ to rone vaalā koī nahīñ
sab se rishta joḌ ke maiñ ne dekh liyā
tere alāva sach hai merā koī nahīñ
be-shak ham sab allah hī ke bande haiñ
lekin ham meñ allah vaalā koī nahīñ
kyā kyā ruup badal kar dhokā detī hai
duniyā jis kā apnā chehra koī nahīñ
kal tak jhūTī shohrat par jo zinda the
miTTī ho ga.e jānñe vaalā koī nahīñ
sab ko dekha sab ko parkha koi nahin
tum jo ho jaise ho aisa koi nahin
be-wajah kis uljhan mein paD jate ho
tum achchhe ho tum se achchha koi nahin
jab tak tum the ghar mein kaisi raunaq thi
barson bite aata jata koi nahin
kahne ko ye bhi wo bhi sab apne hain
mar jaun to rone wala koi nahin
sab se rishta joD ke main ne dekh liya
tere alawa sach hai mera koi nahin
be-shak hum sab allah hi ke bande hain
lekin hum mein allah wala koi nahin
kya kya rup badal kar dhoka deti hai
duniya jis ka apna chehra koi nahin
kal tak jhuTi shohrat par jo zinda the
miTTi ho gae jaanne wala koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.