sab ko hi us dar par tala dikhta tha
sab ko hī us dar par taalā dikhtā thā
mujh ko koī dauḌ ke aatā dikhtā thā
karte the vo duā.eñ andhe hone kī
pyāsoñ ko zindāñ se dariyā dikhtā thā
vo thā ek kanīz ke kamre kā darpan
us meñ dekhne vaalā rotā dikhtā thā
maiñ ne un āñkhoñ meñ duniyā dekhī thī
aur duniyā ko jaane kyā kyā dikhtā thā
uḌtā thā jī bhar ke saverā hote hī
ik panchhī ko ḳhvāb meñ piñjrā dikhtā thā
lauTī thī vo ek vaDere ke ghar se
us ko har jhūle meñ phandā dikhtā thā
kuchh ko dariyā buuñd ke jaisā thā 'yāsir'
kuchh ko bas ik buuñd meñ dariyā dikhtā thā
sab ko hi us dar par tala dikhta tha
mujh ko koi dauD ke aata dikhta tha
karte the wo duaen andhe hone ki
pyason ko zindan se dariya dikhta tha
wo tha ek kaniz ke kamre ka darpan
us mein dekhne wala rota dikhta tha
main ne un aankhon mein duniya dekhi thi
aur duniya ko jaane kya kya dikhta tha
uDta tha ji bhar ke sawera hote hi
ek panchhi ko KHwab mein pinjra dikhta tha
lauTi thi wo ek waDere ke ghar se
us ko har jhule mein phanda dikhta tha
kuchh ko dariya bund ke jaisa tha 'yasir'
kuchh ko bas ek bund mein dariya dikhta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.