sab ko is dahr mein aana hai chale jaana hai
sab ko is dahr meñ aanā hai chale jaanā hai
apnā kirdār nibhānā hai chale jaanā hai
zindagī ne jo sikhāyā hameñ lamha lamha
ek lamhe meñ bhulānā hai chale jaanā hai
kis ko mā'lūm hai kab saañs kī lai par ham ko
āḳhirī giit sunānā hai chale jaanā hai
vaqt-e-ruḳhsat ye gila kaisā shikāyat kaisī
kuchh na sunñā na sunānā hai chale jaanā hai
lauT kar aatā nahīñ jis se musāfir koī
sab ko us moḌ pe aanā hai chale jaanā hai
be-ruḳhī ne tirī kyā haal kiyā hai merā
ik nazar tujh ko dikhānā hai chale jaanā hai
āḳhirī lamha mujhe aise bitānā hai 'sifar'
tere pahlū meñ samānā hai chale jaanā hai
sab ko is dahr mein aana hai chale jaana hai
apna kirdar nibhana hai chale jaana hai
zindagi ne jo sikhaya hamein lamha lamha
ek lamhe mein bhulana hai chale jaana hai
kis ko ma'lum hai kab sans ki lai par hum ko
aaKHiri git sunana hai chale jaana hai
waqt-e-ruKHsat ye gila kaisa shikayat kaisi
kuchh na sunna na sunana hai chale jaana hai
lauT kar aata nahin jis se musafir koi
sab ko us moD pe aana hai chale jaana hai
be-ruKHi ne teri kya haal kiya hai mera
ek nazar tujh ko dikhana hai chale jaana hai
aaKHiri lamha mujhe aise bitana hai 'sifar'
tere pahlu mein samana hai chale jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.