sab ko KHud se bacha raha hun main
sab ko ḳhud se bachā rahā huuñ maiñ
apnā naqsha miTā rahā huuñ maiñ
dil kā tere havā meñ jān-e-jāñ
purza purza uḌā rahā huuñ maiñ
yā sajātā huuñ terī Dolī yā
apnī mayyat sajā rahā huuñ maiñ
taaki phir she'r kā dhamāka ho
roz bārūd khā rahā huuñ maiñ
dil ke maiñ ne baḌhā.e daam bahut
jaan sastī banā rahā huuñ maiñ
Dhoñg hai ye mirī na.ī ulfat
ab bhī vā'da nibhā rahā huuñ maiñ
baat manhūs ik sunāne ko
pahle achchhī sunā rahā huuñ maiñ
'iid dīvālī ho ki baisākhī
jashn-e-urdu manā rahā huuñ maiñ
tañg aayā haTā ke kāñToñ ko
ab to rastā haTā rahā huuñ maiñ
ab to dete nahīñ ġhulāmī bhī
daur thā ik ḳhudā rahā huuñ maiñ
aag lagne kī chaah se hī to
sham' ghar meñ jalā rahā huuñ maiñ
ab tirā zahr phaile bāhar bhī
ab to 'maġhlūb' jā rahā huuñ maiñ
sab ko KHud se bacha raha hun main
apna naqsha miTa raha hun main
dil ka tere hawa mein jaan-e-jaan
purza purza uDa raha hun main
ya sajata hun teri Doli ya
apni mayyat saja raha hun main
taki phir she'r ka dhamaka ho
roz barud kha raha hun main
dil ke main ne baDhae dam bahut
jaan sasti bana raha hun main
Dhong hai ye meri nai ulfat
ab bhi wa'da nibha raha hun main
baat manhus ek sunane ko
pahle achchhi suna raha hun main
'id diwali ho ki baisakhi
jashn-e-urdu mana raha hun main
tang aaya haTa ke kanTon ko
ab to rasta haTa raha hun main
ab to dete nahin ghulami bhi
daur tha ek KHuda raha hun main
aag lagne ki chah se hi to
sham' ghar mein jala raha hun main
ab tera zahr phaile bahar bhi
ab to 'maghlub' ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.