sab ko KHwabon ke na aiwan mein rakh
sab ko ḳhvāboñ ke na aivān meñ rakh
maiñ haqīqat huuñ mujhe dhyān meñ rakh
rāhzan phirte haiñ bastī bastī
ghar kā sarmāya bayābān meñ rakh
shab-parastoñ kī hai duniyā pyāre
apne sūraj ko garebān meñ rakh
kyā karegā tū ye muTThī-bhar dhuup
aag siine ke ḳhiyābān meñ rakh
be-sadā qarya-e-ehsās huā
uñgliyāñ ab na yahāñ kaan meñ rakh
kisī dastak kā ujālā na sahī
sham.a yādoñ kī to dālān meñ rakh
farhat-angez hai bāhar kī havā
khiḌkiyāñ zehn ke aivān meñ rakh
hai dar-o-bast-e-ma.ānī in se
malaka lafzoñ kī pahchān meñ rakh
shahr-tā-shahr hai zaḳhmoñ kā paḌāv
apnā ḳhema abhī maidān meñ rakh
ai 'fazā' lai kā ye sho.ala na bujhe
itnā āhang to auzān meñ rakh
sab ko KHwabon ke na aiwan mein rakh
main haqiqat hun mujhe dhyan mein rakh
rahzan phirte hain basti basti
ghar ka sarmaya bayaban mein rakh
shab-paraston ki hai duniya pyare
apne suraj ko gareban mein rakh
kya karega tu ye muTThi-bhar dhup
aag sine ke KHiyaban mein rakh
be-sada qarya-e-ehsas hua
ungliyan ab na yahan kan mein rakh
kisi dastak ka ujala na sahi
shama yaadon ki to dalan mein rakh
farhat-angez hai bahar ki hawa
khiDkiyan zehn ke aiwan mein rakh
hai dar-o-bast-e-maani in se
malaka lafzon ki pahchan mein rakh
shahr-ta-shahr hai zaKHmon ka paDaw
apna KHema abhi maidan mein rakh
ai 'faza' lai ka ye shoala na bujhe
itna aahang to auzan mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.