sab ko malum hai ye baat kahan
sab ko mā'lūm hai ye baat kahāñ
din kahāñ kāTtā huuñ raat kahāñ
is ko taqdīr hī kahā jaa.e
maiñ kahāñ un kā iltifāt kahāñ
jin ke aage zabāñ bhī hil na sake
kahne baiThā huuñ dil kī baat kahāñ
soch saktā huuñ kah nahīñ saktā
luT ga.ī dil kī kā.enāt kahāñ
ai sabā un kī kākuloñ ko na chheḌ
muñh chhupātī phiregī raat kahāñ
vo to aañsū nikal paḌe varna
maiñ kahāñ sharh-e-vāqi'āt kahāñ
un ko ehsās ho chalā hai 'ra.īs'
vo nazar vo hañsī vo baat kahāñ
sab ko ma'lum hai ye baat kahan
din kahan kaTta hun raat kahan
is ko taqdir hi kaha jae
main kahan un ka iltifat kahan
jin ke aage zaban bhi hil na sake
kahne baiTha hun dil ki baat kahan
soch sakta hun kah nahin sakta
luT gai dil ki kaenat kahan
ai saba un ki kakulon ko na chheD
munh chhupati phiregi raat kahan
wo to aansu nikal paDe warna
main kahan sharh-e-waqi'at kahan
un ko ehsas ho chala hai 'rais'
wo nazar wo hansi wo baat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.