sab ko mazul kar diya usne
sab ko mā'zūl kar diyā us ne
itnā mahsūl kar diyā us ne
mubtalā ham the shādmānī meñ
ġham meñ mashġhūl kar diyā us ne
ek darvesh kī du'ā kā asar
ḳhaar ko phuul kar diyā us ne
yuuñ to qātil thā vo magar sābit
ḳhud ko maqtūl kar diyā us ne
jo nishāñ thā nishān-e-manzil kā
raah kī dhuul kar diyā us ne
vo kahānī jo muḳhtasar sī thī
us ko bhī tuul kar diyā us ne
kar ke merī muḳhālifat tū 'qamar'
aur maqbūl kar diyā us ne
sab ko ma'zul kar diya us ne
itna mahsul kar diya us ne
mubtala hum the shadmani mein
gham mein mashghul kar diya us ne
ek darwesh ki du'a ka asar
KHar ko phul kar diya us ne
yun to qatil tha wo magar sabit
KHud ko maqtul kar diya us ne
jo nishan tha nishan-e-manzil ka
rah ki dhul kar diya us ne
wo kahani jo muKHtasar si thi
us ko bhi tul kar diya us ne
kar ke meri muKHalifat tu 'qamar'
aur maqbul kar diya us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.