sab ko meri tarah niDhaal karo
sab ko merī tarah niDhāl karo
'ishq mushkil hai aur muhāl karo
'ishq bachpan se sunte aa.e haiñ
qaa.em ab buġhz kī misāl karo
us ne pūchhā ta'āruf-e-ulfat
maiñ ye bolā nayā savāl karo
maiñ tirī diid ko tarastā huuñ
ḳhvāb meñ hī sahī visāl karo
maiñ ik āsān aadmī huuñ 'naqī'
merā jiinā bahut vabāl karo
sab ko meri tarah niDhaal karo
'ishq mushkil hai aur muhaal karo
'ishq bachpan se sunte aae hain
qaem ab bughz ki misal karo
us ne puchha ta'aruf-e-ulfat
main ye bola naya sawal karo
main teri did ko tarasta hun
KHwab mein hi sahi visal karo
main ek aasan aadmi hun 'naqi'
mera jina bahut wabaal karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.