sab ko uljhae hue hai zulf-e-pechan in dinon
sab ko uljhā.e hue hai zulf-e-pechāñ in dinoñ
kaun suntā hai mirā hāl-e-pareshāñ in dinoñ
ho rahā huuñ mahv-e-dīd-e-rū-e-jānāñ in dinoñ
kyoñ na huuñ phir sūrat-e-ā.īna hairāñ in dinoñ
mus.haf-e-ruḳh nūr-afshānī se baizāvī huā
ho ga.e kyā muttahid tafsīr-o-qur.āñ in dinoñ
sāhat-e-dil aa.ina hai aur āñkheñ dūrbīñ
kyoñ nazar aatā nahīñ phir rū-e-jānāñ in dinoñ
raat din goshe meñ kab tak ishq-e-lailā-e-jamāl
ban ke majnūñ kījiye sair-e-bayābāñ in dinoñ
ab sikandar-pūr rashk-e-ḳhitta-e-shīrāz hai
laa.e haiñ tashrīf ustād-e-suḳhan-dāñ in dinoñ
lakhna.ū kī shā.erī mansūḳh hai is daur meñ
rashk-e-'nāsiḳh' hai har ik tifl-e-dabistāñ in dinoñ
shā.irān-e-dahr ko ab hai pareshānī nasīb
karte haiñ ustād-e-akmal jam.a dīvāñ in dinoñ
ik jagah rahne nahīñ detī zamāne kī havā
ho rahā huuñ misl-e-aurāq-e-pareshāñ in dinoñ
raat din 'ājiz' navāzī un ko ab manzūr hai
kyoñ na ho phir basta-e-zanjīr-e-ehsāñ in dinoñ
sab ko uljhae hue hai zulf-e-pechan in dinon
kaun sunta hai mera haal-e-pareshan in dinon
ho raha hun mahw-e-did-e-ru-e-jaanan in dinon
kyon na hun phir surat-e-aina hairan in dinon
mushaf-e-ruKH nur-afshani se baizawi hua
ho gae kya muttahid tafsir-o-quran in dinon
sahat-e-dil aaina hai aur aankhen durbin
kyon nazar aata nahin phir ru-e-jaanan in dinon
raat din goshe mein kab tak ishq-e-laila-e-jamal
ban ke majnun kijiye sair-e-bayaban in dinon
ab sikandar-pur rashk-e-KHitta-e-shiraaz hai
lae hain tashrif ustad-e-suKHan-dan in dinon
lakhnau ki shaeri mansuKH hai is daur mein
rashk-e-'nasiKH' hai har ek tifl-e-dabistan in dinon
shairan-e-dahr ko ab hai pareshani nasib
karte hain ustad-e-akmal jama diwan in dinon
ek jagah rahne nahin deti zamane ki hawa
ho raha hun misl-e-auraq-e-pareshan in dinon
raat din 'ajiz' nawazi un ko ab manzur hai
kyon na ho phir basta-e-zanjir-e-ehsan in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.