sab kuchh tera mera kya hai
sab kuchh terā merā kyā hai
ik zarre se hotā kyā hai
saarī duniyā aage pīchhe
āḳhir tujh meñ aisā kyā hai
jis ke dil meñ ḳhauf ḳhudā kā
us se pūchho duniyā kyā hai
majbūroñ kī ḳhidmat kar ke
mat pūchho ki miltā kyā hai
aaj hamārā to kal terā
is duniyā meñ kis kā kyā hai
sab kuchh tera mera kya hai
ek zarre se hota kya hai
sari duniya aage pichhe
aaKHir tujh mein aisa kya hai
jis ke dil mein KHauf KHuda ka
us se puchho duniya kya hai
majburon ki KHidmat kar ke
mat puchho ki milta kya hai
aaj hamara to kal tera
is duniya mein kis ka kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.