sab log sham hote hi jab apne ghar gae
sab log shaam hote hī jab apne ghar ga.e
sahrā ko ham bhī shahr se phir lauT kar ga.e
achchhe dinoñ kī aas meñ jaane kidhar ga.e
jitne the mere ḳhvāb suhāne bikhar ga.e
muusā jo ban chale the avāmī ḳhitāb meñ
sāhir kī rassiyoñ se vahī log Dar ga.e
gahrā.ī nāpne meñ the kuchh log munhamik
kuchh log pāniyoñ meñ bilā ḳhauf utar ga.e
ahl-e-junūñ kī jab na rahī chāk-dāmanī
shāhān-e-ḳhush-libās se rishte sañvar ga.e
aisā mujassama thā vo ḳhush-pairahan ki bas
nañge ġharīb bachche vahīñ par Thahar ga.e
ai ḳhāk-e-hind bol ki tū jāntī hai sab
kuchh to batā kahāñ mire la.al-o-gohar ga.e
kahte haiñ un se pahle ye gulshan thā ḳhār-zār
vo kaun log the jo yahāñ se guzar ga.e
jis ke liye ḳhirad ko thī sardār kī talāsh
ahl-e-junūñ vo kaam sar-e-dār kar ga.e
ḳhud apne ehtisāb kī fursat kahāñ milī
kuchh bhī huā to ġhairoñ pe ilzām dhar ga.e
lashkar ko jaan de ke milā bhī to kyā milā
fat.h-o-zafar ke taaj to shāhoñ ke sar ga.e
maiñ ne kahā mutālba koī nahīñ mirā
kahne lage ki aap to bilkul sudhar ga.e
sab log sham hote hi jab apne ghar gae
sahra ko hum bhi shahr se phir lauT kar gae
achchhe dinon ki aas mein jaane kidhar gae
jitne the mere KHwab suhane bikhar gae
musa jo ban chale the awami KHitab mein
sahir ki rassiyon se wahi log Dar gae
gahrai napne mein the kuchh log munhamik
kuchh log paniyon mein bila KHauf utar gae
ahl-e-junun ki jab na rahi chaak-damani
shahan-e-KHush-libas se rishte sanwar gae
aisa mujassama tha wo KHush-pairahan ki bas
nange gharib bachche wahin par Thahar gae
ai KHak-e-hind bol ki tu jaanti hai sab
kuchh to bata kahan mere lal-o-gohar gae
kahte hain un se pahle ye gulshan tha KHar-zar
wo kaun log the jo yahan se guzar gae
jis ke liye KHirad ko thi sardar ki talash
ahl-e-junun wo kaam sar-e-dar kar gae
KHud apne ehtisab ki fursat kahan mili
kuchh bhi hua to ghairon pe ilzam dhar gae
lashkar ko jaan de ke mila bhi to kya mila
fath-o-zafar ke taj to shahon ke sar gae
main ne kaha mutalba koi nahin mera
kahne lage ki aap to bilkul sudhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.