sab ma-siwa-e-ishq fareb-e-sarab hai
sab mā-sivā-e-ishq fareb-e-sarāb hai
maiñ bhī huuñ ḳhvāb merī javānī bhī ḳhvāb hai
hai bū-e-gul kahīñ kahīñ rang-e-sharāb hai
har chiiz meñ sharīk kisī kā shabāb hai
merī nazar savāl hai aur barmalā savāl
un kī nazar javāb hai aur lā-javāb hai
dil kār-zār-e-ishq-o-vafā meñ hai pesh pesh
tūfāñ ke sāmne hai agarche habāb hai
sham-e-jamāl dost kī uf re tajalliyāñ
kaunain ek dā.era-e-iltihāb hai
vo husn intiḳhāb-e-jahāñ hai agar to ho
merī bhī do jahāñ meñ nazar intiḳhāb hai
āzād-e-do-jahāñ huuñ salāmat ġhurūr-e-ishq
ab merī be-ḳhudī bhī ḳhudī kā javāb hai
irfān-e-dil nahīñ tujhe ai shikva-sanj dost
is aa.ine meñ rāz-e-shuhūd-o-hijāb hai
ik husn-e-be-niyāz jahāñ thā vahīñ rahā
varna har inqalāb ke ba.ad inqalāb hai
duniyā-e-ishq dair nahīñ hai haram nahīñ
ye sarzamīñ varā-e-jahān-e-ḳharāb hai
tūfāñ kī Thokaroñ meñ hamesha se huuñ 'zafar'
vo sham.a huuñ havāoñ meñ jo sho.ala-tāb hai
sab ma-siwa-e-ishq fareb-e-sarab hai
main bhi hun KHwab meri jawani bhi KHwab hai
hai bu-e-gul kahin kahin rang-e-sharab hai
har chiz mein sharik kisi ka shabab hai
meri nazar sawal hai aur barmala sawal
un ki nazar jawab hai aur la-jawab hai
dil kar-zar-e-ishq-o-wafa mein hai pesh pesh
tufan ke samne hai agarche habab hai
sham-e-jamal dost ki uf re tajalliyan
kaunain ek daera-e-iltihab hai
wo husn intiKHab-e-jahan hai agar to ho
meri bhi do jahan mein nazar intiKHab hai
aazad-e-do-jahan hun salamat ghurur-e-ishq
ab meri be-KHudi bhi KHudi ka jawab hai
irfan-e-dil nahin tujhe ai shikwa-sanj dost
is aaine mein raaz-e-shuhud-o-hijab hai
ek husn-e-be-niyaz jahan tha wahin raha
warna har inqalab ke baad inqalab hai
duniya-e-ishq dair nahin hai haram nahin
ye sarzamin wara-e-jahan-e-KHarab hai
tufan ki Thokaron mein hamesha se hun 'zafar'
wo shama hun hawaon mein jo shoala-tab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.