sab muKhaalif jab kinare ho gae
sab muḳhālif jab kināre ho ga.e
ham meñ aur us meñ ishāre ho ga.e
aa.e aur baiThe na kuchh shikva nahīñ
ye ġhanīmat hai ki baare ho ga.e
jab chaḌh aa.ī rū-ba-rū fauj-e-junūñ
ham bhī sanmukh ho utāre ho ga.e
hijr ne us ko jalāyā is qadar
daaġh siine par añgāre ho ga.e
jānte the apne ham hosh-o-havās
yak nigah meñ sab tumhāre ho ga.e
chashm to teġhe the aage hī miyāñ
surma dene se do dhāre ho ga.e
kaan ke motī tirī zulfoñ meñ raat
ḳhalq kī nazroñ meñ taare ho ga.e
jab hue 'hātim' ham us se āshnā
dost bhī dushman hamāre ho ga.e
sab muKHalif jab kinare ho gae
hum mein aur us mein ishaare ho gae
aae aur baiThe na kuchh shikwa nahin
ye ghanimat hai ki bare ho gae
jab chaDh aai ru-ba-ru fauj-e-junun
hum bhi sanmukh ho utare ho gae
hijr ne us ko jalaya is qadar
dagh sine par angare ho gae
jaante the apne hum hosh-o-hawas
yak nigah mein sab tumhaare ho gae
chashm to teghe the aage hi miyan
surma dene se do dhaare ho gae
kan ke moti teri zulfon mein raat
KHalq ki nazron mein tare ho gae
jab hue 'hatim' hum us se aashna
dost bhi dushman hamare ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.