Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab mutmain the subh ka aKHbar dekh kar

Husain Taj Rizvi

sab mutmain the subh ka aKHbar dekh kar

Husain Taj Rizvi

MORE BYHusain Taj Rizvi

    sab mutma.in the sub.h aḳhbār dekh kar

    ḳhā.if the ham navishta-e-dīvār dekh kar

    munsif gavāh had hai ki mazlūm bik ga.e

    qīmat lagī jo zarf-e-ḳharīdār dekh kar

    maiñ boriyā-nashīn ġharīb-ul-vatan faqīr

    hairāñ thā shān-o-shaukat-e-darbār dekh kar

    nā-vāqif-e-rusūm-e-huzūrī thā ki gayā

    sab dam-ba-ḳhud the jur.at-e-iz.hār dekh kar

    aisā nahīñ ki sab the haqā.eq se nā-balad

    bas bolte the chashm-e-sharar-bār dekh kar

    tark-e-tavahhumāt ne be-faiz kar diyā

    bhaTke the ham bhī jubba-o-dastār dekh kar

    koshish maiñ kartā rahtā huuñ ġhazloñ meñ apnī 'tāj'

    bāteñ banā.ūñ chashm-o-ruḳh-e-yār dekh kar

    sab mutmain the subh ka aKHbar dekh kar

    KHaif the hum nawishta-e-diwar dekh kar

    munsif gawah had hai ki mazlum bik gae

    qimat lagi jo zarf-e-KHaridar dekh kar

    main boriya-nashin gharib-ul-watan faqir

    hairan tha shan-o-shaukat-e-darbar dekh kar

    na-waqif-e-rusum-e-huzuri tha ki gaya

    sab dam-ba-KHud the jurat-e-izhaar dekh kar

    aisa nahin ki sab the haqaeq se na-balad

    bas bolte the chashm-e-sharar-bar dekh kar

    tark-e-tawahhumat ne be-faiz kar diya

    bhaTke the hum bhi jubba-o-dastar dekh kar

    koshish main karta rahta hun ghazlon mein apni 'taj'

    baaten banaun chashm-o-ruKH-e-yar dekh kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now