sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe
sab ne hoñToñ se lagā kar toḌ Daalā hai mujhe
kūza-gar ne jaane kis miTTī se Dhālā hai mujhe
is tarah to aur manzar kī udāsī baḌh ga.ī
maiñ kahīñ ḳhud meñ nihāñ thā kyuuñ nikālā hai mujhe
shāḳh par rah kar kahāñ mumkin thā merā ye safar
ab havā ne apne hāthoñ meñ sambhālā hai mujhe
kyuuñ sajānā chāhte ho apnī palkoñ par mujhe
rā.egāñ sā ḳhvāb huuñ āñkhoñ ne Taalā hai mujhe
ik zarā sī dhuup ko le kar ye hañgāma huā
merī hī parchhā.iyoñ ne rauñd Daalā hai mujhe
jaane kitne chāñd taare raat ke jañgal meñ the
yaad lekin ek jugnū kā ujālā hai mujhe
ik dhaḌakte dil se maiñ ne ḳhud ko patthar kar liyā
ab butoñ ke saath hī bas rakhne vaalā hai mujhe
zindagī ne apnā koī ḳhvāb bunñe ke liye
ek ik dhāge kī sūrat khol Daalā hai mujhe
sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe
kuza-gar ne jaane kis miTTi se Dhaala hai mujhe
is tarah to aur manzar ki udasi baDh gai
main kahin KHud mein nihan tha kyun nikala hai mujhe
shaKH par rah kar kahan mumkin tha mera ye safar
ab hawa ne apne hathon mein sambhaala hai mujhe
kyun sajaana chahte ho apni palkon par mujhe
raegan sa KHwab hun aankhon ne Tala hai mujhe
ek zara si dhup ko le kar ye hangama hua
meri hi parchhaiyon ne raund Dala hai mujhe
jaane kitne chand tare raat ke jangal mein the
yaad lekin ek jugnu ka ujala hai mujhe
ek dhaDakte dil se main ne KHud ko patthar kar liya
ab buton ke sath hi bas rakhne wala hai mujhe
zindagi ne apna koi KHwab bunne ke liye
ek ek dhage ki surat khol Dala hai mujhe
- Book : Bechehragi (Pg. 54)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.