sab rang na-tamam hon halka libas ho
sab rañg nā-tamām hoñ halkā libās ho
shaffāf pāniyoñ pe kañval kā libās ho
ashkoñ se bun ke marsiya pahnā diyā gayā
ab zindagī ke tan pe ġhazal kā libās ho
har ek aadmī ko mile ḳhil.at-e-bashar
har ek jhoñpaḌī pe mahal kā libās ho
sun le jo aane vaale zamāne kī āhaTeñ
kaise kahe ki aaj bhī kal kā libās ho
yā rab kisī sadī ke ufuq par Thahar na jaa.e
ik aisī sub.h jis kā dhundalkā libās ho
ujlā rahegā sirf mohabbat ke jism par
sadiyoñ kā pairahan ho ki pal kā libās ho
sab rang na-tamam hon halka libas ho
shaffaf paniyon pe kanwal ka libas ho
ashkon se bun ke marsiya pahna diya gaya
ab zindagi ke tan pe ghazal ka libas ho
har ek aadmi ko mile KHilat-e-bashar
har ek jhonpaDi pe mahal ka libas ho
sun le jo aane wale zamane ki aahaTen
kaise kahe ki aaj bhi kal ka libas ho
ya rab kisi sadi ke ufuq par Thahar na jae
ek aisi subh jis ka dhundalka libas ho
ujla rahega sirf mohabbat ke jism par
sadiyon ka pairahan ho ki pal ka libas ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.