sab samajhte aur hain haalat hamari aur hai
sab samajhte aur hain haalat hamari aur hai
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
sab samajhte aur haiñ hālat hamārī aur hai
aur bīmārī hai kuchh bīmār-dārī aur hai
ālam-e-hastī meñ kyā dam le bashar ai hamdamo
aage is rah-rau ko manzil is se bhārī aur hai
dekheñ kyā sūrat ho iz.hār-e-safā meñ pesh-e-yār
aaj ā.eñge ki phir kuchh rū-bakārī aur hai
zaḳhm-e-zāhir par lagā marham to is se fā.eda
pahlū-e-dil meñ nihāñ ik zaḳhm kaarī aur hai
terī muta'āqib chalī aatī hai gulshan meñ ḳhizāñ
do hī din meñ rang ai abr-e-bahārī aur hai
motiyā kī gar nahīñ achchhī to jaane do na lo
maiñ ne champe kī sharāb ai gul utārī aur hai
ik ġhazal andāz par 'nāsiḳh' ke ai 'bāqī' likho
qāfiye achchhe haiñ gar marzī tumhārī aur hai
sab samajhte aur hain haalat hamari aur hai
aur bimari hai kuchh bimar-dari aur hai
aalam-e-hasti mein kya dam le bashar ai hamdamo
aage is rah-rau ko manzil is se bhaari aur hai
dekhen kya surat ho izhaar-e-safa mein pesh-e-yar
aaj aaenge ki phir kuchh ru-bakari aur hai
zaKHm-e-zahir par laga marham to is se faeda
pahlu-e-dil mein nihan ek zaKHm kari aur hai
teri muta'aqib chali aati hai gulshan mein KHizan
do hi din mein rang ai abr-e-bahaari aur hai
motiya ki gar nahin achchhi to jaane do na lo
main ne champe ki sharab ai gul utari aur hai
ek ghazal andaz par 'nasiKH' ke ai 'baqi' likho
qafiye achchhe hain gar marzi tumhaari aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.