sab samajhte hain ki hum jit ke qabil nahin hain
sab samajhte haiñ ki ham jiit ke qābil nahīñ haiñ
sirf itnā hai abhī khel meñ shāmil nahīñ haiñ
āstīnoñ pe lahū hai to lahū hai apnā
apne qātil haiñ kisī aur ke qātil nahīñ haiñ
kabhī teshe ko uThā.e kabhī talvār liye
ab ye baazū tirī gardan meñ hamā.il nahīñ haiñ
ham bure haiñ ki natīje meñ havas ke haiñ yahāñ
ham bure haiñ ki kisī 'ishq kā hāsil nahīñ haiñ
aur duniyā faqat āñkhoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham vo manzar haiñ jo āñkhoñ ke muqābil nahīñ haiñ
jo haiñ sāhil vo samundar nahīñ ho sakte the
jo samundar haiñ to yuuñ haiñ ki vo sāhil nahīñ haiñ
phir kisī mohnī sūrat se mohabbat hogī
abhī ġhusse meñ haiñ par husn se bad-dil nahīñ haiñ
sab samajhte hain ki hum jit ke qabil nahin hain
sirf itna hai abhi khel mein shamil nahin hain
aastinon pe lahu hai to lahu hai apna
apne qatil hain kisi aur ke qatil nahin hain
kabhi teshe ko uThae kabhi talwar liye
ab ye bazu teri gardan mein hamail nahin hain
hum bure hain ki natije mein hawas ke hain yahan
hum bure hain ki kisi 'ishq ka hasil nahin hain
aur duniya faqat aankhon ke siwa kuchh bhi nahin
hum wo manzar hain jo aankhon ke muqabil nahin hain
jo hain sahil wo samundar nahin ho sakte the
jo samundar hain to yun hain ki wo sahil nahin hain
phir kisi mohni surat se mohabbat hogi
abhi ghusse mein hain par husn se bad-dil nahin hain
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 63)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.