sab samajhte hain mujhko la-yani
sab samajhte haiñ mujh ko lā-yānī
aadmī huuñ maiñ kaam kā ya.anī
umr bhar ishq hī kiyā maiñ ne
umr bhar kuchh nahīñ kiyā ya.anī
kuchh na aa.egā ab kahānī meñ
merā kirdār mar gayā ya.anī
muddatoñ be-ḳhabar rahā ḳhud se
muddatoñ mujh meñ tū rahā ya.anī
maiñ tujhe sun na paayā ḳhalvat meñ
mere andar hī shor thā ya.anī
sab samajhte hain mujh ko la-yani
aadmi hun main kaam ka yani
umr bhar ishq hi kiya main ne
umr bhar kuchh nahin kiya yani
kuchh na aaega ab kahani mein
mera kirdar mar gaya yani
muddaton be-KHabar raha KHud se
muddaton mujh mein tu raha yani
main tujhe sun na paya KHalwat mein
mere andar hi shor tha yani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.