sab sanwar jaega thoDi himmat karo
sab sañvar jā.egā thoḌī himmat karo
bas mohabbat mohabbat mohabbat karo
sarhadoñ ke to hākim bahut haiñ magar
mashvara hai ki dil pe hukūmat karo
chāhatoñ ke liye tum ho paidā hue
tum se kis ne kahā hai ki nafrat karo
prītī ke surḳh hoñToñ ke hī vāste
kirshn kī bāñsurī kī tijārat karo
merā dukh mujh ko kam-kam sā lagne lagā
apnā ġham aur thoḌā ināyat karo
ek din vo bhī qadmoñ meñ aa jā.egā
apne dushman kī bas aap izzat karo
manzileñ kah rahīñ haiñ ki bas ho chukā
hausle kah rahe haiñ ki mehnat karo
ab sukūñ ke liye maiñ ne dil ko chunā
duur merī nigāhoñ se daulat karo
apnā haq 'anjanā' pahle māñgo magar
phir nahīñ mil rahā to baġhāvat karo
sab sanwar jaega thoDi himmat karo
bas mohabbat mohabbat mohabbat karo
sarhadon ke to hakim bahut hain magar
mashwara hai ki dil pe hukumat karo
chahaton ke liye tum ho paida hue
tum se kis ne kaha hai ki nafrat karo
priti ke surKH honTon ke hi waste
kirshn ki bansuri ki tijarat karo
mera dukh mujh ko kam-kam sa lagne laga
apna gham aur thoDa inayat karo
ek din wo bhi qadmon mein aa jaega
apne dushman ki bas aap izzat karo
manzilen kah rahin hain ki bas ho chuka
hausle kah rahe hain ki mehnat karo
ab sukun ke liye main ne dil ko chuna
dur meri nigahon se daulat karo
apna haq 'anjana' pahle mango magar
phir nahin mil raha to baghawat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.