Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab se alag hun lekin akela nahin bana

Gul Faraz

sab se alag hun lekin akela nahin bana

Gul Faraz

MORE BYGul Faraz

    sab se alag huuñ lekin akelā nahīñ banā

    auroñ ho ke bhī kisī jaisā nahīñ banā

    duniyā bhī vo nahīñ banī jo honī chāhiye

    so kyā huā agar vo hamārā nahīñ banā

    sab fā.eda uThāne ke chakkar meñ hote haiñ

    maiñ jān-būjh kar bahut achchhā nahīñ banā

    vo ban gayā jo banñā nahīñ chāhtā thā maiñ

    ḳhvāhish thī jaisā banñe vaisā nahīñ banā

    maiñ chāhne meñ koī kasar chhoḌtā nahīñ

    maiñ darmiyāñ meñ chhoḌne vaalā nahīñ banā

    maiñ toḌtā banātā rahtā huuñ kuchh na kuchh

    har baar aisā lagtā hai umda nahīñ banā

    TuuTe hue ko joḌ liyā hai kisī tarah

    us jaisā to magar ye dobāra nahīñ banā

    us ko bhī merī itnī zarūrat nahīñ paḌī

    kuchh maiñ bhī us utnā ziyāda nahīñ banā

    sab se alag hun lekin akela nahin bana

    auron sa ho ke bhi kisi jaisa nahin bana

    duniya bhi wo nahin bani jo honi chahiye

    so kya hua agar wo hamara nahin bana

    sab faeda uThane ke chakkar mein hote hain

    main jaan-bujh kar bahut achchha nahin bana

    wo ban gaya jo banna nahin chahta tha main

    KHwahish thi jaisa banne ki waisa nahin bana

    main chahne mein koi kasar chhoDta nahin

    main darmiyan mein chhoDne wala nahin bana

    main toDta banata hi rahta hun kuchh na kuchh

    har bar aisa lagta hai umda nahin bana

    TuTe hue ko joD liya hai kisi tarah

    us jaisa to magar ye dobara nahin bana

    us ko bhi meri itni zarurat nahin paDi

    kuchh main bhi us ka utna ziyaada nahin bana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now