Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

Zain-ul-Abideen Khan Arif

sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

Zain-ul-Abideen Khan Arif

MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif

    sab se behtar hai ki mujh par mehrbāñ koī na ho

    ham-nashīñ koī na ho aur rāzdāñ koī na ho

    laal mat samjho zabān-e-sham.a ko ḳhāmush hai ye

    baat phir kis se kare jab ham-zabāñ koī na ho

    mariye is hasrat meñ gar qātil na haath aave kahīñ

    roiye apne pe ḳhud gar nauha-ḳhvāñ koī na ho

    biich meñ hai mere us ke ai āh-e-hazīñ

    sulh kyūñkar hove jab tak darmiyāñ koī na ho

    shikva kis se kījiye ḳhāliq marzī hai yahī

    nukta-chīñ paidā hoñ lākhoñ nukta-dāñ koī na ho

    mujh talak qātil to qātil maut bhī aatī nahīñ

    kis ko diije jaan jab ḳhvāhān-e-jāñ koī na ho

    sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

    ham-nashin koi na ho aur raazdan koi na ho

    lal mat samjho zaban-e-shama ko KHamush hai ye

    baat phir kis se kare jab ham-zaban koi na ho

    mariye is hasrat mein gar qatil na hath aawe kahin

    roiye apne pe KHud gar nauha-KHwan koi na ho

    bich mein hai mere us ke tu hi ai aah-e-hazin

    sulh kyunkar howe jab tak darmiyan koi na ho

    shikwa kis se kijiye KHaliq ki marzi hai yahi

    nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho

    mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin

    kis ko dije jaan jab KHwahan-e-jaan koi na ho

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now