sab se yahi kahta hun ki han hai meri jagir
sab se yahī kahtā huuñ ki haañ hai mirī jāgīr
ye shaukat-e-alfāz-o-bayāñ hai mirī jāgīr
ye 'umr hī aisī hai mire ḳhvāb baḌe haiñ
ḳhud mere liye bār-e-garāñ hai mirī jāgīr
Dartā huuñ kisī moḌ pe chhin jaa.e na mujh se
bachpan se jo ehsās-e-ziyāñ hai mirī jāgīr
bujhtī huī shāmoñ ke asāse haiñ mire paas
afsurda charāġhoñ kā dhuāñ hai mirī jāgīr
maiñ terī ijāzat se ye sābit bhī karūñgā
ai dost tirā jism-e-javāñ hai mirī jāgīr
samjhāte hī guzrī hai dil-e-naf'-talab ko
lā-hāsilī-e-'umr-e-ravāñ hai mirī jāgīr
tum dil kī taraf se na yahāñ naqb lagāo
ye aañkh ye ḳhvāboñ kī dukāñ hai mirī jāgīr
kyā kyā mirī sochoñ ke hare peḌ the 'yāvar'
ab nazr-e-sitam-hā-e-ḳhizāñ hai mirī jāgīr
sab se yahi kahta hun ki han hai meri jagir
ye shaukat-e-alfaz-o-bayan hai meri jagir
ye 'umr hi aisi hai mere KHwab baDe hain
KHud mere liye bar-e-garan hai meri jagir
Darta hun kisi moD pe chhin jae na mujh se
bachpan se jo ehsas-e-ziyan hai meri jagir
bujhti hui shamon ke asase hain mere pas
afsurda charaghon ka dhuan hai meri jagir
main teri ijazat se ye sabit bhi karunga
ai dost tera jism-e-jawan hai meri jagir
samjhate hi guzri hai dil-e-naf'-talab ko
la-hasili-e-'umr-e-rawan hai meri jagir
tum dil ki taraf se na yahan naqb lagao
ye aankh ye KHwabon ki dukan hai meri jagir
kya kya meri sochon ke hare peD the 'yawar'
ab nazr-e-sitam-ha-e-KHizan hai meri jagir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.