sab shikayat hai zindagani ki
sab shikayat hai zindagani ki
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
sab shikāyat hai zindagānī kī
jaan ne dushmanī-e-jānī kī
ham subuk-dosh hī jahāñ se ga.e
na kisī tab.a ne girānī kī
haañ subuksār kar de ai qātil
jism par sar ne sargirānī kī
ruuh tan par vabāl-e-dosh huī
hai ye ifrāt nā-tavānī kī
ishq barbād kar gayā āḳhir
thī ḳhabar kis ko nā-gahānī kī
aisī ik teġh-e-ābdār lagā
phir na māñgūñ jo buuñd paanī kī
dil huā fart-e-dāġh se ik baaġh
ishq ne ḳhuub bāġhbānī kī
ik zarā khol chashm ibrat meñ
sair kar is jahān-e-fānī kī
siine par dāġh-e-hasrat-o-hirmāñ
ik nishānī hai ye javānī kī
jo haiñ āsūdagān-e-aish unheñ
kyā ḳhabar is ġham-e-nihānī kī
kyoñ na ho ishtiyāq-e-nazm-e-‘zamīr’
dhuum hai us kī ḳhush-bayānī kī
sab shikayat hai zindagani ki
jaan ne dushmani-e-jaani ki
hum subuk-dosh hi jahan se gae
na kisi taba ne girani ki
han subuksar kar de ai qatil
jism par sar ne sargirani ki
ruh tan par wabaal-e-dosh hui
hai ye ifraat na-tawani ki
ishq barbaad kar gaya aaKHir
thi KHabar kis ko na-gahani ki
aisi ek tegh-e-abdar laga
phir na mangun jo bund pani ki
dil hua fart-e-dagh se ek bagh
ishq ne KHub baghbani ki
ek zara khol chashm ibrat mein
sair kar is jahan-e-fani ki
sine par dagh-e-hasrat-o-hirman
ek nishani hai ye jawani ki
jo hain aasudagan-e-aish unhen
kya KHabar is gham-e-nihani ki
kyon na ho ishtiyaq-e-nazm-e-‘zamir’
dhum hai us ki KHush-bayani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.