Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab sikandar ghaznawi babar ke shaidai mile

Mirza Naseer Khalid

sab sikandar ghaznawi babar ke shaidai mile

Mirza Naseer Khalid

MORE BYMirza Naseer Khalid

    sab sikandar ġhaznavī bābar ke shaidā.ī mile

    koī to mujh ko yahāñ poras bhī bhaa.ī mile

    ab bhī hai insāñ jahālat ke usī me'yār par

    aaj bhī mansūr aa jaa.e to rusvā.ī mile

    chāhatoñ meñ bas ḳhasāra ḳhasāra hai magar

    log jitne bhī mile chāhat ke shaidā.ī mile

    thak chuke haiñ raat din anjuman-ārā.ī se

    ai hujūm-e-shahr ab thoḌī tanhā.ī mile

    baḳhsh diije ab hameñ bhī bāryābī sharaf

    muntazir kab se khaḌe haiñ kuchh to shunavā.ī mile

    fikr gahrā.ī se nikle achhūtā jab ḳhayāl

    kyoñ na har mahfil meñ phir us ko pazīrā.ī mile

    dost shāmil ho ga.e 'ḳhālid' 'adū fauj meñ

    mo'jiza hogā agar ab bhī na paspā.ī mile

    sab sikandar ghaznawi babar ke shaidai mile

    koi to mujh ko yahan poras ka bhi bhai mile

    ab bhi hai insan jahaalat ke usi me'yar par

    aaj bhi mansur aa jae to ruswai mile

    chahaton mein bas KHasara hi KHasara hai magar

    log jitne bhi mile chahat ke shaidai mile

    thak chuke hain raat din ki anjuman-arai se

    ai hujum-e-shahr ab thoDi si tanhai mile

    baKHsh dije ab hamein bhi baryabi ka sharaf

    muntazir kab se khaDe hain kuchh to shunawai mile

    fikr ki gahrai se nikle achhuta jab KHayal

    kyon na har mahfil mein phir us ko pazirai mile

    dost shamil ho gae 'KHalid' 'adu ki fauj mein

    mo'jiza hoga agar ab bhi na paspai mile

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now