sab sitare luTa diye maine
sab sitāre luTā diye maiñ ne
ashk saare bahā diye maiñ ne
ek us shaḳhs ke liye ḳhud ko
rog kyā kyā lagā diye maiñ ne
kyoñ du'ā 'arsh tak nahīñ jaatī
bām-o-dar tak hilā diye maiñ ne
us ne be-sāḳhta kahā bārish
aur aañsū bahā diye maiñ ne
dil ko har baar toḌ jaatā thā
qufl is par lagā diye maiñ ne
jis ne sun kar bhī an-sunī kar dī
dard us ko sunā diye maiñ ne
jab jahāñ jis pe raaj kar Daale
pyaar mantar sikhā diye maiñ ne
ishq-e-tāza kī hiddateñ tauba
ḳhat purāne jalā diye maiñ ne
apne matlab se jo mile har dam
vo bhī rishte nibhā diye maiñ ne
'tājvar' 'ishq kā taqāza thā
ġham uThā kar chhupā diye maiñ ne
sab sitare luTa diye main ne
ashk sare baha diye main ne
ek us shaKHs ke liye KHud ko
rog kya kya laga diye main ne
kyon du'a 'arsh tak nahin jati
baam-o-dar tak hila diye main ne
us ne be-saKHta kaha barish
aur aansu baha diye main ne
dil ko har bar toD jata tha
qufl is par laga diye main ne
jis ne sun kar bhi an-suni kar di
dard us ko suna diye main ne
jab jahan jis pe raj kar Dale
pyar mantar sikha diye main ne
ishq-e-taza ki hiddaten tauba
KHat purane jala diye main ne
apne matlab se jo mile har dam
wo bhi rishte nibha diye main ne
'tajwar' 'ishq ka taqaza tha
gham uTha kar chhupa diye main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.