sab tamashe ho chuke ab ghar chalo
sab tamāshe ho chuke ab ghar chalo
dīda-o-dil kho chuke ab ghar chalo
kar chuke sairāb ashkoñ se zamīñ
dard-dāna bo chuke ab ghar chalo
kar chuke Topī meñ jugnū ko asiir
saañp kā man kho chuke ab ghar chalo
ḳhvāhisheñ thak-hār ke ruḳhsat huiiñ
bojh saare Dho chuke ab ghar chalo
muntazir hogā koī dahlīz par
is sarā meñ so chuke ab ghar chalo
kāTne ko dauḌtā hai rāsta
ham-safar sab kho chuke ab ghar chalo
ik na.ī karvaT badal Daalo 'suhail'
sab hī pahlū so chuke ab ghar chalo
sab tamashe ho chuke ab ghar chalo
dida-o-dil kho chuke ab ghar chalo
kar chuke sairab ashkon se zamin
dard-dana bo chuke ab ghar chalo
kar chuke Topi mein jugnu ko asir
sanp ka man kho chuke ab ghar chalo
KHwahishen thak-haar ke ruKHsat huin
bojh sare Dho chuke ab ghar chalo
muntazir hoga koi dahliz par
is sara mein so chuke ab ghar chalo
kaTne ko dauDta hai rasta
ham-safar sab kho chuke ab ghar chalo
ek nai karwaT badal Dalo 'suhail'
sab hi pahlu so chuke ab ghar chalo
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 263)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.