sab tamannaen hon puri koi KHwahish bhi rahe
sab tamannā.eñ hoñ puurī koī ḳhvāhish bhī rahe
chāhtā vo hai mohabbat meñ numā.ish bhī rahe
āsmāñ chūme mire pañkh tirī rahmat se
aur kisī peḌ kī Daalī pe rihā.ish bhī rahe
us ne sauñpā nahīñ mujh ko mire hisse kā vajūd
us kī koshish hai ki mujh se mirī ranjish bhī rahe
mujh ko ma.alūm hai merā hai vo maiñ us kā huuñ
us kī chāhat hai ki rasmoñ kī ye bandish bhī rahe
mausamoñ se raheñ 'vishvās' ke aise rishte
kuchh adāvat bhī rahe thoḌī navāzish bhī rahe
sab tamannaen hon puri koi KHwahish bhi rahe
chahta wo hai mohabbat mein numaish bhi rahe
aasman chume mere pankh teri rahmat se
aur kisi peD ki Dali pe rihaish bhi rahe
us ne saunpa nahin mujh ko mere hisse ka wajud
us ki koshish hai ki mujh se meri ranjish bhi rahe
mujh ko malum hai mera hai wo main us ka hun
us ki chahat hai ki rasmon ki ye bandish bhi rahe
mausamon se rahen 'wishwas' ke aise rishte
kuchh adawat bhi rahe thoDi nawazish bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.